Labels
Labels
Facebook Badge
Tu jaane na ki kaun hai tu
- Get link
- X
- Other Apps
Tu jaane na ki kaun hai tu,
phoolo ke Gulistan ka sartaj hai tu,
honge gulshan me gul hazaar,
in gulo ka gulaab hai tu,
phoolo ke Gulistan ka sartaj hai tu,
honge gulshan me gul hazaar,
in gulo ka gulaab hai tu,
Tu na jane ki kaun hai tu,
sangeet jaisi awaz ka sur-taal hai tu,
Hoti hai jab amaawas ki raat to,
Ugte huye suraj ka ahsaas hai tu,
sangeet jaisi awaz ka sur-taal hai tu,
Hoti hai jab amaawas ki raat to,
Ugte huye suraj ka ahsaas hai tu,
Tu na jane kaun hai tu
udasi bhare chero ki mushkan hai tu
hote hai jb gam k badal asman me
th baadlo k beech se nikalta hua chand hai tu…..
udasi bhare chero ki mushkan hai tu
hote hai jb gam k badal asman me
th baadlo k beech se nikalta hua chand hai tu…..
Tu Jaane na ki kaun hai tu,
Oss ki boondo jaisi taajgi ka ehsaas hai tu,
aati hai jab mere hoto pe udasi ki aahat,
hasta hu fir bhi,us hasi ka raaz hai tu,
Oss ki boondo jaisi taajgi ka ehsaas hai tu,
aati hai jab mere hoto pe udasi ki aahat,
hasta hu fir bhi,us hasi ka raaz hai tu,
Tu jaane na ki kaun hai tu,
Dhadkate dilo ki baichani ka naam he tu,
Tanhai me jab band hoti hai palke meri,
bahte huye ashko ka sailaab hai tu,
Dhadkate dilo ki baichani ka naam he tu,
Tanhai me jab band hoti hai palke meri,
bahte huye ashko ka sailaab hai tu,
Tu na jaane ki kaun hai tu
mahakati hui garm saanso ka guman hai tu,
Tadpta raha pane ki chahat me jisko umar bhar,
Wo reshmi khwaabo ka gunahgaar hai tu,
mahakati hui garm saanso ka guman hai tu,
Tadpta raha pane ki chahat me jisko umar bhar,
Wo reshmi khwaabo ka gunahgaar hai tu,
Tu na jaane kaun hai tu,
Dil ko jo sakoon he,wo awaj hai tu,
yu to suni hai sangeet bahut maine,
sargam se bhi khanakati,koyal ki awaz hai tu,
Dil ko jo sakoon he,wo awaj hai tu,
yu to suni hai sangeet bahut maine,
sargam se bhi khanakati,koyal ki awaz hai tu,
Tu Jane na ki kaun hai tu,
Me na jaanu ki kaun hai tu,
Me tujhme,tu Mujhme samaay is tarah,
k me jism,tu jaan,par itna b na jane tu,
Me na jaanu ki kaun hai tu,
Me tujhme,tu Mujhme samaay is tarah,
k me jism,tu jaan,par itna b na jane tu,
chandni raat ke jazbaad hai tu,
Hai dhero rang is jahana me magar,
Hatho me lagi Mehndi ka rang hai tu
Tu jane na kaun hai tu,
khwabo me jo aaye,wo tajmahal hai tu,
Likhe to rait pe lakho haseen naam maine,
mera dil jo dhadkaye,wahi naam hai tu,
Tu na jaane kaun hai tu,
savere ki pahli kiran ka naam hai tu,
chah-chahati hai jab chidiya ujale me,
us madhur awaz ka ahsaas hai tu...
savere ki pahli kiran ka naam hai tu,
chah-chahati hai jab chidiya ujale me,
us madhur awaz ka ahsaas hai tu...
- Get link
- X
- Other Apps
Popular posts from this blog
उसकी आँखों के बारे में क्या जानते हो ?
♥ ♥ Tanha dil tanha safar ♥ ♥
Zara tham tham ke barsa kar abhi itna na rootha kar Abhi to dur hai manzil Abhi khud ko na tanha kar Teri ankhein samandar hain Samandar ko na sehra kar Mera dil doob jata hain Mujhe aise na dekha kar Hawa mujh se kahe pagal Na yun raston mein betha kar Woh ek din chor jaye ga Usay itna na chaha kar ♥ ♥ ♥ ♥ "Koi Manzil Nahi Jachti, Safar Achcha Nahi Lagta , Agar Ghar Laut Bhi Aaun To Ghar Achcha Nahi Lagta , Karun kuchbhi,Mai ab Duniya ko sab,Achcha hi lagta hai Mujhe Kuch Bhi Tumhare Bin Magar Achcha Nahi Lagta" ♥ ♥ see more
Wo mehndi lage hath dikha k Roi :(
Wo mehndi lage hath dikha k Roi, Me kisi or ki hon wo ye bta k roi, Me bola kon he wo khushnseeb, Wo mahndi se likha hua nam dekha k roi, Kahen gham se phat na jaey jigr mera, Wo hnste hnste muje hnsa k roi, Dil na tote uska gham-e-hijar me, Me b rOYa wo b meri aankh se aankh mila k roi, Usne jana jb mere rone ka sbab, Apne ansu meri hatheli pe sja k roi, Jb b daikha use hnste hve daikha, Wqt-e- hina hr khushi ko wo bhula k roi, Dil ne chaha use g bhr k daikh loon, Wo meri aankhun ki pyas ko bujha k roi, Muj ko khone k gam me mohaal ho kr, Wo meri tsveer ko honton se lga k roi.. :-( see more
Comments
Post a Comment